Female Genitalia - G Spot
Chuney sey issko takleef hoti hai. Magar iss ki sensitivity change hoti rahti hai. Isska sab sey hassas part isskay upper wala hissa hota hai. Iss ki sides bhi bohut hassas hoti hain.
G Spot
Bazer (clitoris) kay baad aurat ka doosra jinsi hassas hissa G spot kehlata hai. Issko aik german doctor Earnisst Grafen Berg ney 1950 mein daryaft kara aur ab yeh issi kay naam sey jaana jata hai. Agar aurat mu'nh aasman ki taraf karkay bed per leyt jaey to yeh maqam isski faraj kay 1-2 inch ander faraj ki upper wali dewar mein hota hai. Issko mushta'el karney sey aurat zabardast orgasm hasil karleyti hai, Magar yeh orgasm mushtzani aur dakhool yani mubashrat (intercourse) kay orgasm sey mukhtalif hota hai. Magar bohut lutf angaez hota hai. Yeh aik chotey bean ki shakal ka hota hai magar rub karney sey mushta'el hokar dugnaa hojata hai. Magar har aurat kay G spot kay size aur maqam mein farq hota hai. Isey mushta'el karney sey aurat ko jhatka lagta hai jaga sooj jati hai aur aurat ko peeshaab ki khwahish mehsoos hoti hai. Issliye issko mushta'el karney sey pehley aurat ko peeshaab kar leynaa chahiyie. Magar agar stimulation jari rahey to 2-20 minute kay masaj kay baad aurat ko jinsi lutf mehsoos honay lagta hai.
G spot kay orgasm sey 54% aurtein paani kharij karti hain aur 14% hamesha discharge karti hain. Yeh discharge bey rung hota hai magar ikhraj ya baghaer ikhraj kay orgasm kay lutf mein thora sa farq hota hai. Ek survey mein 80% khawateen nay isey jinsi tor per bohut hassas hissa qarar diya hai.
No comments:
Post a Comment