Family Discipline - Khandan Ka Nazm o Zabt
Donon khandan nasli, qaumi, mali aur muashrati lehaz sey baraber ho. Donon ek qabeeley sey hoon ya mukhtalif qabeelon sey lekin phir bhi ham palla hun. Jadeed nafsiyat bhi ab iss usul ki ahmiyat ko tasleem karti hai yani hum usually unn logon ko pasand kartey hain jo hamari tarhan kay hun. Specially nasal, qaum, muashi aur muashrati maqam kay lehaz sey. Zahir hai kay shaadi pasand kay logon kay saath to zyada kamiyab rehti hai.
Khandan kay nazm o zabt ko barqarar rakhney kay liye mian biwi mein aik ka sarbarah hona zaroori hai. Agar donon bilkul baraber ka darjah aur ikhtiayarat rakhtey hun to khandan badnazmi ka shikar ho jaey ga. Amooman mard jismani aur zehni lehaz sey aurat sey afzal hai. Nafsiyat ki research sey bhi maloom hua hai kay mard ko Allah nay masail hal karney ki special ability da hai. Issi liye Islam mein khandan ki sarbarahi mard ko di gai hai.
Quran mein irshad hai "Mard aurton per Qawam (Hakim) hai. Iss bina per kay Allah nay ek ko doosrey per fazeelat di hai aur iss bina per kay woh apney amwal kharch kartey hain. Bas jo naek aurtein hain woh shohron ki ata'at karney wali aur unki ghair mojodgi mein ba-tofeeq-e-elahi inkay huqooq ki hifazat karney wali hoti hain", (Al-Nisa 34)
Chunancha mian ki zimme daari hai kay woh khandan ko tahaffuz dey, isski tamam zarooriyat ko pura karey aur khandan ki kifalat karey. Khawateen ko hukum hai kay siwaey gunah kay kam kay har kam mein mian ki ataat karey. Kisi bhi idarey kay nazm o nasq ko chalaney kay liye sarbarah ko baaz auqat sakhti karni parti hai Chunancha Quran mein mian ko hasb e zaroorat biwi ko saza deney ki ijazat di gai hai
No comments:
Post a Comment