Tuesday, 29 March 2011

*(1)*--



Prof Arshad Javed Thanks His Family And Friends


Shukriya 


 Mein apney muhatrem dost janab professor 
Dr. Khalil Ahmed ka bey hudd shukar guzar hun jinhon ney muswaddey ka ek ek lafz parha aur apney mufeed mashwarey sey nawaza. 


  Pyarey dost janab professor Dr. Akhter Qureshi sabiq sadar shoba nafsiyat GC university Lahore ka mamnoon hun jinhon ney iss kitab kay liye mufeed ma'aloomaat diin, jo iss kitab ka hissa banii'n.


    Ma'aroof column nigar, adeeb aur mukhlis dost janab Akhter Abbas ka bey hudd shukriya jinhon ney na sirf mufeed mashwarey diye bul kay meri hosla afzaee kii. Un ki hosla afzaee kay baghaer iss  tarah ki kitaab likhna mushkil amar tha. 


    Lieutenant cournel Muhammad  Rafeeq ka mamnoon hun, jin ki dosti merey liye sukoon aur taqwiyat ka baa'iss hai jo meri tehreeron ka naqidaana ja'eza ley kar meri rehnuma'ee aur hosla afzaee kartey hain. 


    Bey hudd mukhlis american dost janab AbdulHaleem Khan aur bhateejey Hafiz Ishtiaque Nazeer (London) ka khas tor per shukar guzar hun jinhon ney iss mozou kay hawaley sey mufeed aur taaza tareen kutub bhijwa'een jinn sey merey ilm mein bohut izafa hua. 


    Apney shagird doston mahir-e-nafsiyat  janab Zahid Hameed (Islamabad) aur mahir-e-mafsiyat professor Dr. Syed Sabir Hussain Shah (Gujrat) ka, jinn per mujhey fakhar hai, khas tor per mamnoon hun jinho'n ney mujhey mufeed ma'aloomaat faraham kiin.

*(2)*--

Books By Prof Arshad Javed


 Bohut achey dost janab Syed Safdar Ali Naqvi sabiq sadar shoba urdu FC college Lahore ka shukar guzar hun jinhon ney muswaddey ki nok palak durust ki. 


    Muawin e khusoosi janab Muhammad Irshad sahib ka mamnoon hun jin ki wajah sey merey ahem kaam bohut aasaan ho jatey hain. 


    Janab Asif Mahmood Rana sahab ka bey hudd shukriya, jinhon ney bohut kam waqt mein kitaab ki composing mukammal ki jis ki wajah sey kitab ki isha'at mein taakheer na hui.


    Mein apney nawason aur nawasiyon ka bey hudd shukar guzar hun, jo mera dil behlaney kay liye humarey haan aatey hain, khusoosan jab woh mujh sey jhappi daaltey hain to meri saari thakan duur ho jati hai. 


    Biwi! Mein aap ka khaas tor per mamnoon hun kay aap ko meri kitabo'n ka yeh mozou pasand nahin, magar iss kay bawajood aap ney iss ilmi kaam mein na sirf rukawat nahin daali bul kay bharpoor  ta'awwun kar kay mujhey zehni sukoon muhayya kya jis ki wajah sey mein ek saal mein teen ahem kutub:






1.                  "Sex Education____________sab kay liye"


2.                  "Azdawaji Khushyan__khawateen kay liye"


3.                  "Azdawaji Khushyan____mardon kay liye"






likhney mein kaamyaab hua.

*(3)*--

Marital Satisfaction - Azdawaji Lazzat Aur Sukoon


Aaj ki taraqqi yaafta aqwaam ney mehnat ki azmat ko nuqta e urooj per pohncha diya hai. Inn kay afraad ko 10 hazar naakamiyan bhi mayoos nahin kartiin. Edison bulb banatey waqt 10 hazar baar naakam hua magar uss ney haar maanney sey inkaar kar diya aur apni koshish jari rakhi hutta kay bulb bananey mein kaamyaab ho gaya. Doosri taraf unhon ney azdawaji zindagi ko ek art bana diya. Iss silsiley mein aisey aisey goshey bey naqaab kiye kay aqal haeraan reh jati hai. Hum ajeeb qoum hain kay na to bharpoor andaz sey kaam kartey hain aur na hi Allah Ta'ala ki paeda karda ja'ez lazzaton sey bharpoor tareeqey sey lutfandoz hotey hain. Hum yeh donon kaam routine mein kartey hain. Humein na kaam karna aata hai aur na hi zindagi sey lutf andoz hona.


Quran majeed mein irshad hai kay:




"Phir azdawaji zindagi ka lutf tum inn sey uthao" (Al Nisa 24)




Azdawaji lazzat aur sukoon hasil karney kay liye ilm ki zaroorat hai budqismati sey hum mein sey 90 % sey bhi za'ed mard azdawaji zindagi kay hawaley sey zaroori ma'aloomaat nahin rakhtey. Humney chotey paemaaney per ek survey kya. Iss mein shaadi shuda logon sey ek sawal poocha gaya kay aaya unko ilm hai kay mubashrat (intercourse) ki exact jagah kahan hai. Yaqeen karein kay kisi ek fard ko bhi iska ilm na tha. Agarcha woh saal ha saal sey mubashrat kar rahey hain. Woh yeh saara kaam andaazey sey kar rahey hain. Ilm ki kami ki wajah sey mard hazraat ki aksaryat apni biwiyon ko jinsi lehaz sey mutmaen karney mein naakaam rehti hai.

*(4)*--

Lack Of Sex Education


jis ki wajah sey biwiyan azdawaji zindagi mein fa'aal kirdaar ada nahin kartiin jab kay kuch adum itmenan ki wajah sey jinsi beyrahrawi ka shikar ho jati hain kyun kay unhein har baar jinsi sukoon kay husool mein naakami hoti hai. Bohut si aurtein saari zindagi jinsi lazzat sey mehroom rehti hain. Iss ki bari wajah ilm ki kami hai, kyun kay mardon ki aksaryat ko ilm hi nahin kay biwi ko kis tarah jinsi sukoon muhayya karna hai. Humarey haan urdu mein iss hawaley sey ek do meyari kutub kay elawa baqi aksaryat kharafaat sey bhari hain. Iss silsiley mein mazhabi nuqta e nigaah sey kafi achi kutub likhi gaee hain magar inn kutub mein sex ka hissa na honey kay baraber hai, jis ki wajah sey khawateen o hazraat ko azdawaji ta'alluqaat kay hawaley sey meyari maaloomaat nahin miltiin. Iss hawaley sey haal hi mein ek bohut achi kitab parhney ka moqa mila magar sex kay hawaley sey iss musannif ko bhi ilm na tha kay mubashrat kahan ki jati hai yani faraj (vagina) kahan waqa'e hai.


20 saal sey clinic mein logon kay azdawaji masail ko hal kartey huey ek din khayal aaya kay iss hawaley sey logon ko zaroori ta'aleem dii jaey taakay woh khushgawar zindagi basar kar sakein. Chunancha humney Lahore aur Lahore sey baher ek seminar kay zaryaey ta'aleem ka ek silsila shuru kya jis mein mukhtalif shehron sey mard hazraat shamil hotey thay. Mulk bhar mein apni nauiyat kay iss wahid seminar ney shurka'a ko azdawaji khushyan deney mein bharpoor kirdar ada kya. Shurka'a ka khayal tha kay Pakistan bhar sey log iss seminar sey mustafeed nahin ho saktey, le'haza inn ma'aloomaat ko kitab ki shakal mein paesh kya jaey. Chunancha seminar ka yeh silsila aarzi tor per rok kar iss mozou per mazeed muta'alla aur tehqeeq ki gaee. Ab yeh saari ma'aloomaat aap ki khidmat mein paesh hain.

*(5)*--

Male Sexual Problems


Agarcha bunyadi tor per yeh kitaab mard hazraat kay liye hai magar khawateen kay liye bhi iss ka muta'alla itna hi zaroori hai taa'kay woh mardon ki zarooriyaat aur masail sey aagaah ho sakein. Iss kay elawa inn ko ilm ho sakey kay in kay khawand unhein kon kon si khushyan kis tarah dey saktey hain taa kay woh gaahey ba gaahey apni pasand ki azdwajii khushyan hasil kar sakein. Isi tarah mardon kay liye humari kitab "Azdwajii Khushyan___Khawateen Kay Liye" ka muta'alla bey hudd mufeed sabit ho sakta hai taakay unko ilm ho kay biwiyan unhein kon si lazzat muhayya kar sakti hain. Iss tarah mardon ko yeh ilm bhi hasil hoga kay unki biwiyan unn kay jinsi masail kay hal mein kis tarah unki madad kar sakti hain. Iss kay elawa gharelu zindagi ko khushgawar bananey kay liye donon ka kirdaar alaehda alaehda hai jab mian biwi donon kutub parh leingey to unko ma'aloom ho jaey ga kay khushgawar gharelu zindagi mein unn ka aur unn kay saathi ka kya kirdaar hai. Bharpoor azdwajii zindagi kay liye humari kitab "Sex Education_________Sab Kay Liye" iss mozou per asal bunyaadi kitaab hai, iss liye iss kitab ka muta'alla bhi bey hudd mufeed sabit hoga.


"Azdwajii Khushyan_____Mardon Kay Liye" ek amali kitaab hai, agar iss per poori tarah amal kya jaey to inshaAllah aap ki azdwajii aur gharelu zindagi khushyon sey bhar jaey gi aur aap ka ghar jannat ka namoona ban jaey ga. Ahl-e-ilm ka khayal hai kay yeh teenon kutub 1."Sex Education______sab kay liye", 2. "Azdwajii Khushyan___khawateen kay liye", aur 3. "Azdwajii Khushyan_____mardon kay liye" Pakistani mua'ashirey mein azdwajii zindagi mein ek inquilaab ki naqeeb sabit hongi

*(6)*--

Pleasures of Marital Life - Bharpoor Azdwaji Khushyan


kitaab sey bharpoor faeda uthaney kay liye pehley ek baar aap isey sarsari parh lein, aur apney pasandeeda ahem maqamaat kay neechey nishan laga lijiey, phir nishan zada ahem nukaat ko dobara parh lein. Bharpoor azdwaji lutf kay liye "Foreplay", "Mubaashirat Kay Tariqey" aur "Bharpoor Azdawaji Khushyan" waley hissey ko baghor parhein. Ek ek tariqey ki achi tarah mushq karein aur azdwajii zindagi sey bharpoor lutf uthaein.


Ba'az ahem cheezon ki (khusoosan mubaashirat kay tariqon) wazahat kay liye tasaweer aur khako'n ki zaroorat hai, kyun kay ek tasweer hazar alfaz kay baraber hoti hai, magar humney unhein kitaab mein shamil karna munasib nahib samjha. Ta'hum agar aap ko zaroorat ho to aap yeh khaakey rs.100 ka money order bhijwa kar barah e raast humsey hasil kar saktey hain.

*(7)*--

Marital Life Tips - Azdwaji Khushyon Kay Hawaley Sey Tips


Jaisa kay guzishta safhaat mein arz kar chuka hun kay meri 'biwi' ko mera iss mozou per likhna pasand nahin chunancha ek din farmaney lagii'n kay 'ab aap koi aisi cheez bhi likhein jisey hum logon ko bata sakein' chunancha mojooda kitab iss mozou per meri aakhri kitaab hai. Ab unki farma'esh per meiney roznama 'Jinah' mein 'Kaamyabi' kay unwaan sey column likhney ka silsila shuru kya hai. 'Kaamyaabi' mera pasandeeda mozou hai. Mein guzishta 30 saal sey iss mozou per parh aur ghor o fikr kar raha hun. Kaamyabi kay chund usool hain. Har kaamyab insaan inhi usoolon per shaoori ya ghaer shaoori tor per amal kar kay kaamyabi hasil karta hai. Jab aap inn usoolon sey aagaah ho jatey hain to saalon ka safar maheenon mein taey kar letey hain. Meri dili khwahish hai kay mein Pakistani awam khusoosan naee nasal ko inn usoolon sey aagaah karun, naee nasal taraqqi karey gi to Pakistan taraqqi karey ga. Iss jazbey kay tehet column ka yeh silsila shuru kya hai iss kay elawa iss mozou per hum ek roza free seminar bhi muna'aqqid kartey hain.


Kitaab kay hawaley sey apni qeemti ra'ey dena na bhooliey, khut likhiey, paeghaam (sms) bhejiey, phone kijiey, mulaqaat bhi kar saktey hain, mein aap ka bey hudd mashkoor honga. Agar aap kay paas azdwajii khushyon kay hawaley sey koi tips hain to humein zaroor muttala'a farmaein, ta'kay agar woh mufeed paey gaey to inn ko bhi kitaab ka hissa banaya ja sakey.

*(8)*--

Sexual Misconceptions - Nocturnal Ejaculation


Ahem Jinsi Mughalitey


Important Misconceptions About Sex






Humarey mu'aashrey mein sex kay hawaley sey beyshumar ghalat fehmiyan paee jati hain, jin ki wajah sey naujawan nasal bohut sey jinsi masail (sexual problems) ka shikar hai. Hum ney apni book "Sex Education----Sab Kay Liye" mein 100 kay qareeb jinsi mughalton ki asal haqeeqat tafseel kay sath beyan ki hai. Ahl e lim ka khayal hai kay har naujawan ko shadi sey pehley inn sey aagah hona zarori hai ta kay woh azdawaji zindagi sey bharpoor lutf andoz ho sakey. Iss book mein inn tamam mughalton ka tafseeli zikar mumkin nahi behter hai kay mazeed maloomat kay liye humari book "Sex Education---Sab Kay Liye" ka muta'alla kar liya jaey ta hum baaz ahem ghalat fehmiyon ka mukhtasir zikar kiya jata hai.






1. Ehtelam: (Nocturnal Ejaculation)






Iss sey muraad sotey huey khwab ya khwab kay baghair peeshab kay rastay mani(semen) ka ikhraj hai. Jin afrad ko mubashrat (intercourse) ya khud lazzati (masturbation) ka kasrat sai moqa nahi milta unko ehtelam ho jata hai. Yeh amal 8,10 saal ki umar sey shuru ho sakta hai. Yeh koi jinsi bemari nahi bul kay ek normal aur sehat mand uzwiati (organic) amal ya kaifiyat hai, jis kay barey mein pareshan honey ki zaroorat nahi. Yeh rozana ho sakta hai bul kay aik hi raat mein aik sey ziyada bar bhi.

*(9)*--

Masturbation - Khud lazzati - Musht zani


yeh kitna hi kiyu na ho iss kay insaani sehat per koi burey asraat nahi partey.






2. Khud lazzati - Musht zani (Masturbation)






Khud lazzati sey muraad mubashrat aur ehtelam kay elawa kisi doosrey tareeqey sey mani (semen) ka ikhraj hai. Khud lazzati ka sab sey ahem zariya musht zani yani hath sey semen ka ikhraj hai. Hamarey haan sab sey zyada ghalat fehmiyan isi hawaley sey paee jati hain. Ek fard iss amal ko haftey mein 1 ya 2 bar karleta hai. Merey ba'az client rozana aur ba'az ek din mein 6,7 bar tak kar letey hain. Mera ek shadi shuda client 24 ghanto'n mein 15 dafa tak karleta tha, iss ney aisa kaee bar kiya, yani woh jagtey mein taqreeban har ghantey mein ek bar karleta tha. Woh abhi tak na sirf zinda, hatta katta bul kay kaee bachon ka baap hai.


Mukhtalif muhaqqaqeen kay mutabiq 95% sey 98% mard iss aadat ka shikar hain. Bohut sey bachey 10 saal ki umar sey pehley hi musht zani shuru kar detey hain. Agarcha khud lazzati ka shikar aisai naujawan hotey hain jin ki abhi shadi nahi hui hoti, magar jadeed research sey ma'aloom hua hai kai shadi shuda mard bhi aisa kartey hain. Mashoor American muhaqqiq Kinsey kay survey kay mutabiq America mein 70% shadi shuda graduate saal mein taqreeban 24 bar musht zani karletey hain. Yani ek maah mein 2 baar naujawano kay elawa 70 saala boorhey bhi musht zani kartey hain.

*(10)*--

Masturbation - Musht zani Sey Jinsi Jismani Zehni Kamzori


Iss hawaley sey humarey naujawan 2 qism ki pareshani ka shikar hain:




Jinsi, jismani aur zehni kamzori ka ahsas aur khauf
Shadeed ehsas e gunah


Musht zani kay silsiley mein hamarey yahan bohut si ghalat baatein maaroof hain maslan iss sey penis ki ragein ubhar aati hain, yeh curve aur darmiyan mein sey patla ho jata hai. Insan ki nashaunuma ruk jati hai aur woh shaadi kay qabil nahi rehta. Iss ka dimagh kamzor ho jata hai hatta kay insan pagal ho jata hai. Maghrib aur doosrey taraqqi yafta countries mein latest research sey yeh baat sabit ho chuki hai kay iss kay kisi bhi tarhan kay koi burey asraat nahin. Yani yeh amal insan ki zehni, jinsi aur jismani sehat kay liye har giz nuqsandeh nahi.






Baaz naam nehad mahireen kehtey hain kay ek hud tak to iss kay koi nuqsanat nahi lekin agar yeh hud sey barh jaey to phir nuqsan deh hai. Iss ki bhi koi haqeeqat nahi hai kya zyada bolney sey insan kamzor ho jata hai. Yeh jitni martaba bhi ki jaey iss kay koi nuqsan nahi. Fitri tor per koi insan isey hud sey zyada kar hi nahi sakta. Taham bohut zyada karney ki soorat mein semen kay bajaey blood aaney lagey ga aur infection ki wajah sey penis sooj jaey ga aur testicles mein dard honay lagey ga. Aisi soorat mein ek week kay liye masturbation chor dein har cheez normal ho jaey gi aur insan ko kisi qism kay elaj ki zaroorat nahi hogi.

*(11)*--

Musht Zani In Islam In Urdu


Guzishta sadi mein masturbation kay hawaley sey taraqqi yafta countries mein bohut research hui aur abhi tak iss kay kisi tarhan kay nuqsanat sabit nahi ho sakey.


Musht zani kay hawaley sey doosra ahem masla ehsaas e gunah ka hai. Iss hawaley sey charon Imamon ki ra'ey mein ikhtilaf hai.




Imam Malik aur Imam Shafai isey gunah aur haram samajhtey hain.
Imam Abu Hanifa kay nazdeek gunah sey bachney kay liye ba waqt e zarorat ki ja sakti hai aur ALLAH maaf farma dey ga.
Imam Ahmad Bin Hanbal isey jaiz samajhtey hain, Inn kay nazdeek iss ka koi gunah nahi. Islam mein halal aur haram bohut wazeh hain. Masturbation kay hawaley sey Quran o Sunnah mein wazeh ahkamaat mojood nahi hain. Iss liye Imam Zehbi ney apni famous book "Gunah e Kabira Ki Kitab" mein 79 gunah kabira ka zikar kiya hai., inn mein musht zani shamil nahi. Iss sey maloom hota hai kay yeh kam az kam gunah e kabira nahi. Agarcha gunah e sagheera honay ki bhi koi wazeh daleel mojood nahi hai.


3. Zakar Ka Size






Hamarey yahan aksar mard penis ki lambai aur motai kai hawaley sey bohut conscious hain.

*(12)*--

Penis Size - Zakar Ka Size


Aam mardon ka khayal hai kay aurtein lamba zakar pasand karti hain. Jab kay haqeeqat yeh hai kay aurat zakar (penis) kay size kay hawaley sey kam sochti hain. Aksar aurtein chotey zakar ko pasand karti hain. Bohut lamba penis aurat ko pasand nahi, kyun kay iss sey aurat ko takleef hoti hai.


Penis kay size kay hawaley sey yeh zabta bhi aam hai kay bharpoor jinsi lutf aur biwi ki satisfaction kay liye lamba penis zaroori hai. Haqeeqat yeh hai kay ziyada jinsi lutf aur biwi kay itmenan ka penis ki lambai kay sath koi ta'alluq nahi. Asal cheez yeh hai kay aap jinsi amal kaisey kartey hain. Aurat ki vagina ka size ausatan 3 sey 4 inch hota hai aur iss ka sirf baerooni 1/3 hissa yani pehla 1 sey one an half inch hissa hi hassas hota hai aur iss hassas hissey tak 2 inch tak sey kuch lamba penis aasani sey pohonch sakta hai. Waisey bhi 80% aurtein sirf penetration sey orgasm hasil nahi kartin.


Yeh khayal bhi aam hai kay aulad kay husool kay liye bhi penis ka lamba hona zaroori hai. Agar penis lambaee mein chota hoga to aulad paida nahi hogi. Iss mughaltey ki bhi koi haqeeqat nahi. Aulad kay husool kay liye sirf semen ka vagina mein dakhil hona zaroori hai. Lehaza penis kay size ka aulad ki paedaish kay sath koi ta'alluq nahi.


Kuch logon ka khayal hai kay bharpoor jinsi lutf kay liye penis ka mota hona zaroori hai. Yeh bhi ek mughalta hai jis ki koi haqeeqat nahi. Vagina darasal khali tube ki tarhan koi khula rasta nahi. Vagina ki 2 deewarein hoti hain jo aapas mein mili hoti hain.

*(13)*--

Seminal Fluid - Mani


Jinsi haejan mein blood ki ziyaditi ki wajah sey vagina ka baerooni hissa sooj kar mazeed tang ho jata hai iss soorat mein patley sey patla zakar (penis) bhi aurat ko bharpoor orgasm dey ga.






Bohot sey mardon ka khayal hai kay zakar ko bilkul seedha hona chahiya, jab kay haqeeqat mein akrra hua zakar aksar auqat bae'in (left) dae'in (right), ooper ya neechey ko jhuka hota hai. Bamushkil 1% afraad ka zakar seedha hota hai. Aisa hona bhi mushkil hai kyun kay zakar bones ya kisi sukht cheez ka bana hua nahi hota. 85% logon ka zakar bae'in (left) side curve hota hai. Issi tarhan amooman aksar logon ka dae'in (right) testicle bhi kuch neechey hota hai aur aik goli bhi qadrey choti hoti hai. Yeh sab kuch normal hai. Musht zani na karney walon ka zakar bhi bae'in (left) taraf curve hota hai aur zakar ki rageinn bhi tanau mein khoob ubhar jati hain. Ragein jitni ziyada ubharti hain itna hi ziyada khoon zakar mein jata hai aur erection bhi itna hi ziyada hota hai.






4. Mani (Seminal Fluid):






Humarey yahan aksar log mani (seminal fluid) ki nature kay hawaley sey bohut pareshan hotey hain kay yeh thori hai ya ziyada, garhi hai ya patli. Infiradi ikhtilafat ki wajah sey mani (seminal fluid) ki quality mein farq hota hai, jis ka mardana quwwat (potency) kay sath hargiz koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ka siwaey bachey paida karney kay aur koi function nahi hai. Mani (seminal fluid) kay zariey sperm bahir aatey hain. Iss kay elawa mani (seminal fluid) mein sperm kay liye khoorak hoti hai, warna woh zinda na rahein.

*(14)*--

Jiryan - Dhat Syndrome


 Neem Hakeem mani (semen) ko johar e hayat, quwwat e hayat aur khoon sey bhi zyada qeemti cheez samajhtey hain. Woh mani (semen) kay behney ko blood kay behney sey zyada qeemti samajhtai hain. Humarey yahan amooman 100 qatrey (drops) blood kay mani (semen) kay 1 drop kay baraber samjha jata hai. Jadeed research sey sabit hua hai kay mani (semen) na quwwat e hayat hai aur na hi khoon sey zyada qeemti. Agar mani (semen) waqaee khoon sey qeemti hai to ek bar ejaculation sey khoon ki ek bottle (500 ml) nikal jati hai. Bohut sey logon ney kabhi na kabhi din mein 2 time zaroor musht zani ki hoti hai. Iss soorat mein blood ki 2 bottles nikalney kay baad yeh zinda kaisey rahey. Mera woh client jo din mein 15 baar tak mushtzani karleyta tha ussey to kisi bhi sorat mein zinda nahi hona chahiya. Jab kay woh na sirf zinda hai balkay hatta kata hai aur bachey paida kar raha hai. Chonkay mani (semen) koi qeemti cheez nahi lehaza iss ka ekhraj kisi bhi tarhan nuqsandeh nahi hai.





    Bohut sey logon ka khayal hai kay bharpoor jinsi lutf aur aulad ki paedaesh kay liye mani (semen) ka thick hona zaroori hai. Iss ki bhi koi haqeeqat nahi. Jinsi lutf kay liye mani (semen) ka sirf kharij hona (baaz auqat ejaculation kay baghaer bhi bharpoor jinsi lutf hasil kar leta hai) aur aulad kay liye iss kay vagina mein jana zaroori hai. Kabhi  aisa bhi hota hai kay fard ki mani (semen) bohut thick hai magar woh na sirf jinsi lutf sey mehroom rehta hai balkay bachey bhi paeda nahi kar sakta, kyun kay iss thick mani (semen) mein sperms hotey hi nahi yeh sehatmand sperms ki quantity bohut kam hoti hai.

15

Drops - Qatrey


 Neem hakeem ek khatarnak jinsi beemari qarar detey hain jo kay inn kay mutabiq nuqsandeh hai, jab kay jadeed research ki roshni mein yeh koi beemari nahi bal kay yeh urethral gland sey nikalney wala material hai jo amooman iss waqt nikalta hai jab fard peeshaab ya stool pass karney kay liye zor lagata hai. Medical nuqta e nazar sey iss naam nehad jiryan ki koi haqeeqat aur ahmiyat nahi aur naa hi yeh kisi beemari ya kamzori ki alamat hai. Iss kay elaj ki bhi koi zaroorat nahi.



Qatrey (drops):







    Jab bhi koi fard khusoosan ghaer shadi shuda sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai, koi jinsi kitab parhta hai, naked picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta hai ya uss sey baatein karta hai to jinsi haejan ki wajah sey uss kay zakar sey white lais dar ratoobat kharij hoti hai. Yeh aisey hi hai jaisey mithaee ko dekh kar fard kay mouth mein pani bhar aata hai. Jadeed research sey maloom hua hai kay yeh material ek khaas hikmat kay tehet kharij hota hai. Kyun kay insan jab sex kay hawaley sey sochta hai to agla qadam mubashrat hi hota hai. Qudrat insan ko iss kam kay liye tayar kardeti hai aur kuch lais dar material zakar kay munh sey aa jata hai jo lubrication ka kaam deta hai jis ki wajah sey zakar ka munh chikna ho jata hai jis sey dakhool aasan ho jata hai. Jadeed research sey yeh baat sabit ho chuki hai kay iss ratoobat ka ikhraj kisi bhi tarhan nuqsandeh nahi hai.

16

Frequent Intercourse - Kasrat e Mubashrat 
Kasrat e Mubashrat: (Frequent Intercourse)




   Baaz puraney hikma ka khayal tha kay insan ko sari zindagi ek hi baar mubashrat karna chahiyie, ya phir saal mein ek baar. "Saal mein ek sey zyada bar mubashrat karna apni qaber khodney kay mutradif hai". Neem hakeemon kay khayal kay mutabiq kasrat e mubashrat sehat kay liye nuqsandeh hai. Iss sey insan ko tarhan tarhan ki bemariyan lag jati hain. Europe aur America kay insan kasrat sey mubashrat kartey hain magar unki sehat hum logon sey bohut behter hai. Research sey sabit ho chuka hai kay kasrat e mubashrat kisi bhi tarhan sey nuqsandeh nahi hai. Chunancha mubashrat chahey kitni hi kyun na ki jaey nuqsandeh nahi hai. Ek din mein 10 bar bhi ki ja sakti hai.
      


    Quran e Majeed kay mutabiq mubashrat sey insan ko sukoon milta hai. Zahir hai kay sukoon ki ziyaditi kis tarhan nuqsandeh ho sakti hai. Taza tareen research sey yeh baat samney aaee hai kay woh log  jo week mein 2 bar ya zyada bar mubashrat (intercourse)  kartey hain unko un logon ki nisbat death ka risk 50% kam ho jata hai jo ek month mein ek bar mubashrat kartey hain. Iss kay elawa zyada mubashrat ki wajah sey insan masaney aur prostate kay cancer sey ziyada mehfooz rehta hai. Waisey bhi woh log jo jawani mein week mein kam sey kam 2 time ya zyada mubashrat kartey hain yehi log old age mein bhi mubashrat (intercourse) kay qabil rehtey hain.

17

Urinary and Hepatic Problems - Masaney Aur Jigar Ki Garmi


Masaney Aur Jigar Ki Garmi:


(Urinary and Hepatic Problems)





    Masaney (bladder) aur jigar (lever) ki garmi neem hakeemo ka pasandeeda masla hai. Acidity ki wajah sey baaz auqat peeshaab peela (yellow) hojata hai. Agar rozanaa 8 to 10 glass paani pe liye jaey to acidity khatam hojaati hai aur peeshaab white hojata hai. Neem hakeem issko khatarnaak beemari qarar detey hain jis ki wajah sey insan pre-matore ejaculaation ka shikar hojata hai. Iss silsiley mein hum ney parhey likhey hakeemo aur doctors sey raabta kara to pata chulla kay jab kisi neem hakeem ko koi beemari samajh nahi aati to woh issko masaney (bladder) aur jigar (lever) ki garmi qarar detey hain, Halan kay duniya mein iss tarhan ki koi beemari mojood nahi, aur naa hi isska kisi jinsi beemari kay saath koi ta'alluq hai.





Parda e bakarat (Hymen):





    Humarey yahan parda e bakarat (Hymen) kay silsiley mein ghalat malomat bohut aam hain aur iss sey virginity aur ismat ki alamat samjha jata hai. Parda e bakarat (Hymen) aurat kay vagina kay hole mein zara ander ki taraf hota hai aksar aurton ka parda-e-bakarat (Hymen) narm-o-nazuk hota hai, aur first mubashrat (intercourse)  mein aasani sey phutt (rupture) hojata hai, jis sey mamoli takleef hoti hai aur kuch blood bhi nikalta hai. Baaz aurton mein yeh sakt hota hai jo kay mubashrat (intercourse)  mein rukawat banta hai. Aisi surat mein minor operaation ki zaroorat hoti hai. Parda e bakarat (Hymen) ki mojodgi yeh ghair mojodgi kisi bhi tarhan aurat kay virgin honay ka suboot nahi.

18

Simultaneous Orgasm - Ek Saath Orgasm Hasil Karna


 Bohut si larkiyon ka parda e bakarat (Hymen) kisi accident ya uchal kood ki wajah sey phutt (rupture) jata hai. Kuch ka haez (menses) kay doran pads waghaira kay use sey ya safai sey phutt (rupture) sakta hai. Baaz aurton mein yeh mojood hi nahi hota aur kuch khawateen ka mubaashirat (intercourse)  mein blood aur pain kay baghair phutt (rupture) jata hai aur bohut si khawateen mein paedaesh kay baad naturally ahista ahista ghayab hona shuru hojata hai lehaza iss parda e bakarat (Hymen) ka naa hona hargiz iss baat ka suboot nahi kay larki budkaar (corrupt) hai. Chunancha iss masley ko koi ahmiyat naa di jaey.





Jinsi Lutf Aur Bachey Ki Paedaesh Kay Liye Mian Biwi Ka Ek Saath Orgasm Hasil Karna Zaroori Hai?





    Yeh ek bohut dilchasp mughalita (misconception) hai jiski koi haqeeqat nahi. Bharpoor jinsi lutf kay liye mian biwi simultaneously orgasm (ka ek hi waqt mein) hasil karna bilkul zaroori nahi sirf orgasm hasil karna zaroori hai. Chahey mian pehley orgasm hasil karley ya biwi. Isi tarhan child birth kay liye sirf mian ka discharge zaroori hai. Aurat ka orgasm zaroori nahi

19

Marriage - Shaadi Kyun


Chapter2


SHAADI KYUN?





    Baloghat mein sex organ testosterone ki wajah sey larkon mein shadeed jinsi khwahish paida hoti hai, jiski wajah sey woh opposite sex mein kashish mehsoos kartey hain. Usually 15 to 20 years ki umar mein testosteroneki production bohut ziyada hoti hai. Jinsi khwahish aur erection ka ta'alluq isssi sex hormone kay saath hota hai. Jis ki wajah sey naujawano'n mein shadeed jinsi khwahish paida hunay lagti hai. Phir woh mukhtalif tareeqon sey jinsi aasoodgi hasil karney ki fikar kartey hain. Jinsi aasoodgi kay 4 zaraey hain. 
Shaadi (Marriage)
Ehtelam
Musht zani
Zina


    Jinsi aasoodgi ka sab sey behtar zariya shaadi (marriage) hai. Allah Ta'ala ka irshad hai:


"Aurton mein sey jo tumko achi lagain insey nikah karo" (Al-Nisa 3).

20

Marriage - Shaadi - Nikah






 "Aur tum mein jo be-nikah hun inkay nikah kardiya karo. Agar woh ghareeb hun to Allah apney fazal sey enko ghani kardeyga" (Al-Noor 32)





    Allah kay naabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya:





    "Aai naujawano'n ki jamat tum mein sey jo shadi ki isstetad rakhta ho to woh zaror shadi karey. Shadi naazar ko khoob jhukanay wali aur sharam gah ki hifazat karney wali hai aur jo shakhs shadi ki isstetad naa rakhta ho to woh rozai rakhai. Yeh rozai isski shawat khatam kardeyngai." (Bukhari)





    Aik doosri hadees mein irshad hai


    "Nikah meri sunnaat hai jisnay meri sunnaat per amal naa kara woh mu'nhjh sey nahi". (Ibn-e-Maja)





    Shadi sey naa sirf nasl-e-insani ka silsila jari rehta hai bul kay iss sey insan ko lutf aur sukoon milta hai.





    Allah ka irshad hai


    "Uss ney tumharey liye tumhari jins sey biwiyan banaiin ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo". (Al-Rome 21)





    Shadi sey naa sirf insan ko sukoon hasil hota hai bul kay research sey maloom hua hai kay shadi shuda afraad  ghaer shadi shuda logon ki nisbaat 50% kam bemariyon ka shikar hotey

21

Marriage In Islam - Nikah - Shaadi


 Hazrat Abu-Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay aurat ki 4 cheezain dekh kar isssey nikah kara jata hai.



Maal
Hasb Nasb (Khandan Ki Wajah Sey)
Husun
Deen


    Pas aey mukhatib tu deen dar aurat ko apney nikah mein ley kar kamiyab hoja tera bhala ho. (Bukhari, Muslim)





    Hazrat Muhammad(P.B.U.H) yeh irshad bhi hai kay kanwari aur ziyada bachey jannay wali aurat sey shadi kari jaey. Chunancha Hazrat Jabir sey marvi hai kay Allah kay rasool Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay muhjh sey pucha kay aik Jabir! tumnay shadi karli? Mein nay arz kara jee han! Hazrat Muhammad(P.B.U.H) dariyaft farmaya kay kisi kanwari larki sey kari ya bevah sey? mein ney arz kara, bevah sey kari hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay kisi kanwari sey kyun naa shadi ki kay woh tum sey khailti aur tum ussey khailtey. (Bukhari)





    Aik aur hadees hai "khoob mohabbat karney wali aur ziyada bachey jannay wali aurat sey nikah karo kyun kay mein tumhari kasrat ki wajah sey roz-e-qayamat doosri ummaton per fakhar karonga." (Masnad Ahmed, Bahqi)

22

Marriage In Islam


 Aik aur hadees hai: "Kawari larki sey nikah kiya karo kyun kay woh shereen guftaar hoti hain, ziyada bachey janti hai aur thori cheez per jald razi hojati hai." (Ibn-e-Maja)





    Lekin Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay bevah aurton sey shadi karney sey mana nahi farmaya. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay khud bevah aurton sey shadi ki. Albatta Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay apney ummat kay logon kay liye kanwari larkiyon sey shadi ko pasand farmaya hai.





    Kuch din pehley meray paas neem pagal patient laya gaya jiski kuch month pehley shadi hui thi. Iss ki biwi pregnant thi. Nafsiyaati analysis kay doran maloom hua kay issko apni biwi pasand naa thee, issnay shadi sey pehley apni biwi ko dekha naa tha. Isssey isska jism pasand naa tha. Iss nay biwi ko uskay parents kay ghar bhaij diya kyun kay ussey uska qurb bhi naa pasand tha. Issnay kay bar divorce deynay ka socha magar buzdili aur khandani presssure ki wajah sey woh aisa naa kar saka aur soch soch kar neem pagal hogaya.





    Jadeed mahir-e-nafsiyat iss baat per agreed hain kay mard basarat kay zariya jinsi tor per stimu'nhlate hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar ubhartey hain. Doosrey lafzon mein mard aurat kay husun, zahiri shakal-o-surat aur jismani saakht ki wajah sey pasand karta hai. Agarcha har fard kay husun ka meyar mukhtalif hota hai. Jab kay aurat zahiri shakal-o-surat ko ziyada ahmiyat nahi deti bul kay aurton kay liye mard ka profession aur social status shadi mein ahem kirdar ada karta hai.

23

Marriage And Islam - Shaadi Aur Islam


 Quran mein irshad hai "Nikah karo jo tumko pasand ai, aurton sey 2 aur 3 aur 4 aur agar yeh khauf ho kay insaaf naa kar sako gey to 1 sey. (Al-Nisa 3)





    Aaj kay mahir-e-nafsiyat kahtey hain kay kamyab shadi kay liye zaroori hai kay mian ko biwi ki aik aadh cheez zaroor pasand ho. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay 1400 saal pehley nikah sey pehley aurat ko dekh lenay ka hukum ya kam sey kam mashwara diya tha.
Hazrat Abu-Huraira biyan kartey hain kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay aik admi sey jisnay kisi aurat sey shadi karney ka irada kara tha pucha kiya tu nay uss ko dekh liya hai. Uss nay nafi mein jawab diya. Aap Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya jao uss aurat ko dekh lo kyun kay ansar ki ankhun mein kuch (Aeb) hai. (Muslim)
Hazrat Mughaira-Bin-Shoba nay aik aurat ko nikah ka paigham diya. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya, tum iss aurat ko dekhlo. Isskay baat tawaqa hai kay ulfat aur ittehat kaym rahey. (Ahmed, Ibn-e-Maja, Tirmizi, Darmi, Nissey)
Shadi sey pehley shareek-e-hayat ko dekh leyna mu'nhnaasib hai kay iss sey rishta-e-nikah ki paidari ka saman hota hai. (Tirmizi)
Hazrat Jabir sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya tum mein sey jo shakhs kisi aurat ko nikah ka paigham dey usko chahiyie kay agar mu'nhmkin ho to iss aurat ko aik naazar dekh ley. (Mishkaat)

73

Marriage And Islam - Shaadi Aur Islam
 Jab tum mein sey koi shakhs aurat ko shadi ka paigham dey aur woh uskay sarapa sey woh kuch dekh sakay jissey isska isski taraf melan barhai to woh aisa kar sakta hai. (Masnaad Ahmed)
Aik aur hadees hai jab tummein sey koi shakhs kisi aurat ko nikah ka paigham dey to hatol emkan isssey dekh leynaa chahiyie kay aya issmein koi aisi cheez hai jo usko us aurat sey nikah ki raghbaat delanay wali ho. (Abu Dawood)
Jab tummein sey koi shakhs kisi aurat ko nikah ka paigham bhaijaey to phir us aurat ko dekhnay mein koi gunah nahi bashart yeh kay woh shadi ka irada rakhta ho aur zaroori nahi kay iss aurat ko bhi maloom ho kay mu'nhjhey dekha ja raha hai. (Yani chup kar bhi usey dekha ja sakta hai) (Ahmed).


    Quran-o-Sunnah ki roshni mein maloom hota hai kay mard ko chahiyie kay woh apni honay wali biwi ko dekh lay (iss tarhan biwi bhi iss ko dekh lay gi) ta kay woh iss mein koi aisi cheez dekh ley jiski wajah sey woh iss mein kashish mehsoos karey. Lekin Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney tanhai mein milnay sey manaa farmaya hai. Irshad hai "Hargiz hargiz koi mard kisi aurat kay saath tanhai mein naa miley kay iss surat mein inkay saath teesra shetan hota hai." (Tirmizi)





    Shadi ki 2 bari aqsaam hain.
 Mohabbat ki shaadi (Love Marriage)
Khandaan ki taraf sey tai kari hui shaadi (Arrange Marriage)

25

Love Marriage - Arrange Marriage - Shaadi Ki Aqsaam


 Europe aur America mein taqreeban har shadi love marriage hoti hai jo kay aksar naakam hoti hai. America mein divorce ka rate 50% to 75% hai. Love marriage mein divorec ki 2 reasons hai. Shadi sey pehley donon afraad apni shakhsiyat ka behetreen pehloo saamney laatey hain. Lehaza donon aik doosrey ki sirf khoobiyon hi sey agha hotey hain aur Mohabbat mein mu'nhbtila hojaatey hain. Magar shadi kay baad mehboob kay liye mu'nhshkil hojata hai kay woh apni shakhsiyat ka sirf roshan pehloo hi saamney laey. Chunancha kuch arsey baad mehboob ki shakhsiyat kay darker sides bhi saamney anay lagtai hai, kyun kay mehboob aik insan hota hai lehaza woh bhi aam insano ki tarhan khoobiyon aur khamiyon ka combination hota hai. Waisey bhi aankhon sey ishq ki patti utarney kay baad mehboob ki mamoli khamiyan bhi numaya hokar nazar aanay lagti hai. Waisa bhi donon aik doosrey sey ghair haqeeqi expectations wabasta kar letey hain jin per pura utarna insani bas mein nahi hota jiski wajah sey love marriages ka anjam divorce hota hai.





    Doosri taraf khandan ki taraf sey tai ki gai shadiyon ki naakami ka rate bohut hi kam hai. Humareyi apney bohut big khandan mein divorce 3% sey ziyada nahi magar en shadiyon mein aik problem hai kay enmein aksar larkay larki ki pasand ka khayal nahi rakha jata (Mohabbat aur pasand mein fark hai). Agar Allah aur uskay Rasool kay ahkamat kay mu'nhtabiq larka larki aik doosrey ko dekh lein aur pasand karlein to divorce ka rate iss sey bhi kam hojaey.





    Shariyat shadi kay mamley mein kifayat (Hamsari aur barabari) ko dheyaan mein rakhna pasand karti hai. Yani shadi apney baraber aur humpalla logon mein ho.

26

Family Discipline - Khandan Ka Nazm o Zabt 


 Donon khandan nasli, qaumi, mali aur muashrati lehaz sey baraber ho. Donon ek qabeeley sey hoon ya mukhtalif qabeelon sey lekin phir bhi ham palla hun. Jadeed nafsiyat bhi ab iss usul ki ahmiyat ko tasleem karti hai yani hum usually unn logon ko pasand kartey hain jo hamari tarhan kay hun. Specially nasal, qaum, muashi aur muashrati maqam kay lehaz sey. Zahir hai kay shaadi pasand kay logon kay saath to zyada kamiyab rehti hai.





    Khandan kay nazm o zabt ko barqarar rakhney kay liye mian biwi mein aik ka sarbarah hona zaroori hai. Agar donon bilkul baraber ka darjah aur ikhtiayarat rakhtey hun to khandan badnazmi ka shikar ho jaey ga. Amooman mard jismani aur zehni  lehaz sey aurat sey afzal hai. Nafsiyat ki research sey bhi maloom hua hai kay mard ko Allah nay masail hal karney ki special ability da hai. Issi liye Islam mein khandan ki sarbarahi mard ko di gai hai.





    Quran mein irshad hai "Mard aurton per Qawam (Hakim) hai. Iss bina per kay Allah nay ek ko doosrey per fazeelat di hai aur iss bina per kay woh apney amwal kharch kartey hain. Bas jo naek aurtein hain woh shohron ki ata'at karney wali aur unki ghair mojodgi mein ba-tofeeq-e-elahi inkay huqooq ki hifazat karney wali hoti hain", (Al-Nisa 34)





    Chunancha mian ki zimme daari hai kay woh khandan ko tahaffuz dey, isski tamam zarooriyat ko pura karey aur khandan ki kifalat karey. Khawateen ko hukum hai kay siwaey gunah kay kam kay har kam mein mian ki ataat karey. Kisi bhi idarey kay nazm o nasq ko chalaney kay liye sarbarah ko baaz auqat sakhti karni parti hai Chunancha Quran mein mian ko hasb e zaroorat biwi ko saza deney ki ijazat di gai hai

27

Suitable Age For Marriage - Shaadi Kay Liye Behtarin Umar


 Nikah aur shaadi kay hawaley sey mandarja zael baaton ko madd e nazar rakhna mufeed hoga.





     Aurat kay liye shaadi ki behtarin umar 20 ta 25 saal hai. Iss doran mein paeda honay wali aulad zyada sehat mand hoti hai. Mard kay liye shadi ki behtarin umar 25 ta 27 saal hai waisey 30 saal tak bhi theek hai. Behtar yeh hai kay shaadi kay waqt larki ki umar 5 ya 10 saal choti ho kyun kay bachon ki paedaesh ki wajah sey aurat ka jism jald dhull jata hai, jiski wajah sey aurat kay jism mein kashish kam hojati hai. Agar biwi ki umar kam hogi to uski jismani kashish ziyada deyr tak barqarar rahey gi. Waisey bhi aurat jismani aur zehni  lehaz sey mard ki nisbat jald mature ho jati hai. Iss liye larki ki umar kisi tarhan bhi larkay sey zyada nahi honi chahiyie.





    Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney kisi doosrey kay nikah kay paigham per paigham bhaijnay sey manaa kar waya hai. Hazrat Abdullah bin umer sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya naa paigham bhaijay nikah ka koi tum mein sey apney muslim bhai kay paigham per. Hazrat Abu Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay koi shakhs apney bhai ki mangni pey mangmi naa karey. Apney sey pehley paigham bhaijnay wala ya iss jagah nikah karley ya iss jagah nikah ki baat cheet chordey. (Muslim, Bukhari)





    Experts ka kehna hai kay engagement aur shadi kay beech mein ziyada lamba arsa nahi hona chahiyie. Ziyada sey ziyada 1 year ka gap ho. Agar beech mein gap ziyada hoga to donon specially mard ziyada frustration ka shikar hojata hai.

28

Women And Islam - Aurat Aur Islam


 magar mu'nh per marney sey sakhti sey manaa kya gaya hai. (Europe aur America mein bohut si aurtein mardon ko marti hain).





    Irshad hai "Aisi aurtein jinki bud demaghi ka tumko ehtimal ho, unko zabani naseehat karo, aur unko unkay bister mein tanha chordo aur unko maro, phir agar woh tumhari ata'at karna shuru kardein to unko bahana mut talash karo (marney kay liye)". (Al-Nisa 76)





    Allah kay Rasool Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay aurton kay saath behtar sulook karney ki takeed ki hai. Irshad hai "Aurton sey acha sulook karo". "Tum log aurton kay barai mein Allah sey daro". Eman kay aatibar sey kamil tareen shakhs woh hai jiskay ekhlaq sab sey achai hun aur tum mein sey behtarin shakhs woh log hain jo apni biwiyon kay liye behtarin sabit hun". (Tirmizi) Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay naek aurat ko behtarin mata qarar diya hai. (Muslim) Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka farman hai koi shakhs apni biwi ko ghulam ki tarhan naa marey kyun kay yeh baat munasib nahi kay awwal to isey marey phir akhir din iss sey mubaashirat karey. (Bukhari) Doosri taraf Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney aurat ko mian ki ijazat kay baghaer nafli roza aur namaz sey mana farmaya hai aur hukum diya hai kay shohar jab bhi biwi ko bister per bulaey woh inkar naa karey. Hadees hai "Shohar jab apni biwi ko apney bister per bulaey aur woh aanay sey inkaar kardey to farishtey subha tak uss per laanat kartey rehtey hain." (Bukhari)

29

Important Factors In Marriage - Shaadi Kay Liye Ahem Baatein


 Shaadi ki date fix kartey waqt larki ki haez (menses) ka zaroor dheyan rakhna chahiyie. Aisa naa ho kay shadi kay 1 or 2 days kay baad haez (menses) start hojaey. Issey mian shadeed jismani aur zehni  tension ka shikar hoga. Shaadi ki date haez (menses) kay 8-10 days kay baad rakhni chahiyie ta'kay mian biwi mubaashirat (intercourse)  sey bharpoor lutf andooz ho sakay. Haez (menses) kay foran baad aurat kay jinsi jazbaat sard par jatey hain. En dino isski tabiyat mein chirchira pan, afsurdigi aur beychaeni paeda hojati hai.





    Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka hukum hai kay shaadi dhoom dham sey honi chahiyie ta'kay har kisi ko pata chaley kay falan shakhs ki shadi hogai hai. Irshad hai "Nikah ka elan karo, nikah masjid mein karo aur iss per daf pito (Khoob elan ho)". (Tirmizi) Islam mein khufiya shadi sey manaa kara gaya hai ba'az fuqahah kay naazdeek khufiya shadi zina kay baraber hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka irshad hai kay halal aur haram mein hadd-e-fasil nikah ki shohrat aur daf hai. (Tirmizi)





    Shadi kartey waqt iss cheez ka bhi dheyan rakha jaey kay mian biwi ki height choti naa ho. Aisi surat mein usool-e-wirasat kay mutabiq bachon ki height kam hogi jiski wajah sey yeh bachey ehsaas-e-kamtari ka shikar hojaeyn gey aur larkiyon ki shadi mein bhi masa'el paida hongey yani donon mein sey aik ki height lazmi lamba hona chahiyie. Issi tarhan donon mian biwi ka rung bhi ziyada dark nahi hona chahiyie. Iss surat mein usool-e-wirasat kay mutabiq bachon kay colour dark hongey aur yeh becharai bhi ehsaas-e-kamtari mein mubtala ho jaein gey.

30

Biwi Ki Zahanat


 aur larkiyon ki sBiwi Ki Zahanat


 aur larkiyon ki shadi mein bhi diqqat paesh aaey gi. Chunancha behtar yehi hai kay mian biwi mein sey aik ka rung saaf ho. Nafsiyati research kay mutabiq bachey zahanat kay lehaz sey amooman maan pey jaatey hain. Lehaza shadi kay waqt biwi ki zahanat ko madd e nazar rakhna chahiyie yani kay biwi zaheen ho. Iss tarhan bachey bhi maan ki zahanat hail karlein gey aur ta'aleemi maedaan mein ziyada kaamyab hongey.hadi mein bhi diqqat paesh aaey gi. Chunancha behtar yehi hai kay mian biwi mein sey aik ka rung saaf ho. Nafsiyati research kay mutabiq bachey zahanat kay lehaz sey amooman maan pey jaatey hain. Lehaza shadi kay waqt biwi ki zahanat ko madd e nazar rakhna chahiyie yani kay biwi zaheen ho. Iss tarhan bachey bhi maan ki zahanat hail karlein gey aur ta'aleemi maedaan mein ziyada kaamyab hongey.

31

Intercourse - Mubashrat


Mubashrat (intercourse) :





    Mubashrat (intercourse)  shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse)  kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse)  kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni  aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
Islam mein shadi kay baad biwi kay saath mubashrat (intercourse)  naeki aur sadqa hai, jiska mian biwi ko sawab milta hai yeh koi buri yeh naa pasandeeda cheez nahi hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay apni biwi sey ham-bistari (mubashrat) karnaa sadqa hai. Sahaba e karam ney kaha kay hum to apni shahoot  puri kartey hain phir iss mein humarey liye ajar aur sawab kaisey?

32

Intercourse - Mubashrat


Mubashrat (intercourse) :





    Mubashrat (intercourse)  shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse)  kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse)  kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni  aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
Islam mein shadi kay baad biwi kay saath mubashrat (intercourse)  naeki aur sadqa hai, jiska mian biwi ko sawab milta hai yeh koi buri yeh naa pasandeeda cheez nahi hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay apni biwi sey ham-bistari (mubashrat) karnaa sadqa hai. Sahaba e karam ney kaha kay hum to apni shahoot  puri kartey hain phir iss mein humarey liye ajar aur sawab kaisey?

33

Intercourse - Mubashrat


Mubashrat (intercourse) :





    Mubashrat (intercourse)  shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse)  kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse)  kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni  aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
Islam mein shadi kay baad biwi kay saath mubashrat (intercourse)  naeki aur sadqa hai, jiska mian biwi ko sawab milta hai yeh koi buri yeh naa pasandeeda cheez nahi hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay apni biwi sey ham-bistari (mubashrat) karnaa sadqa hai. Sahaba e karam ney kaha kay hum to apni shahoot  puri kartey hain phir iss mein humarey liye ajar aur sawab kaisey?

34

Sexual Differences - Mard Aur Aurat - Jinsi Ikhtilaaf




Mard amooman first orgasm aur discharge sey zyada lutf uthata hai jab kay khawateen aksar doosrey ya teesrey orgasm sey. Yad rahey kay 95% khawateen orgasm kay saath secreaation discharge nahi karti.
Humarey yahan yeh baat bohut mashhoor hai kay aurat kay liye lambi mubaashirat (intercourse)  zyada lutf angaez hota hai. Jab kay research sey sabit hua hai kay aurton ki majority ko lambi mubaashirat (intercourse)  naa pasand hai. Khas tor per woh aurtein jo sirf mubaashirat (intercourse) sey orgasm hasil nahi karti. Taqriban 80% khawateen sirf dakhool sey orgasm hasil nahi karti chahey mubaashirat (intercourse)  kitni hi lambi kyun naa ho. Agar mubaashirat (intercourse)  30 min sey ziyada jari rahey to aurat ki faraj dry hojati hai, iss mein swelling hojati hai jo iss kay liye takleef ka ba'iss hoti hai.
Mard aur aurat jinsi lehaz sey aik doosrey sey kafi mukhtalif hain. Mard mamooli ishteaal sey bohut jald jinsi amal kay liye tayyar hojata hai aur manzil ho kar zehni sukoon hasil karna chahta hai lekin agar woh jinsi stimulation kay baad discharge naa ho to shadeed frustration aur discomfort ka shikar hojata hai. Agar mian ko biwi kay non cooperation ki wajah sey bar bar iss tajurbey sey guzarna parey to woh sex mein interest kho deta hai aur baaz auqat woh naa mardi ka shikar hojata hai.
Master And Johnson ki research kay mutabiq amooman 50 saal ki umar tak discharge kay baad mard ka 50% erection foran khatam hojata hai aur 50% barqarar rehta hai. Agar erection zyada der jari rahey to phir amooman discharge kay baad jaldi khatam nahi hota.

35

Basic Sexual Difference - Mard Aurat - Bunyadi Jinsi Farq 


 Agar  zakar ko discharge kay baad faraj sey foran bahir nikal liye jaey to sara erection foran khatam hojata hai, lehaza discharge kay baad zakar ko foran faraj sey bahir naa nikala jaey ta'kay agar biwi nay abhi tak orgasm hasil nahi kara to woh bhi hasil karley.
Jinsi lehaz sey mard aur aurat mein ek buniyadi farq yeh hai kay mard jinsi amal kay liye jaldi (2 to 3 min mein) tayyar hojata hai jab kay aurat ko mard sey 10 guna ziyada waqt ki zaroorat hai. Isey orgasm sey pehley kam sey kam 30 min jinsi stimulation ki zaroorat hai. Isssi tarhan mard mubaashirat (intercourse)  mein 2 yeh 3 min mein discharge hokar orgasm hasil karleyta hai jabkay aurat ko orgasm kay husul kay liye mard sey 4 time ziyada waqt ki zaroorat hai. Mard aur aurat kay jinsi ehsaasaat bhi aik doosrey sey mukhtalif hai. Mard buniyadi tor per jinsi tension ko release karnaa chata hai jabkay aurat kay ehsaasat isskay bilkul ulat hotey hain. Iss sey jinsi khushi uss waqt ziyada mehsoos hoti hai jab isski jinsi tension mein ahista ahista ezafa ho.
Humarey yahan amooman samajha jata hai kay agar mian biwi aik saath orgasm hasil kartey hain to yeh ziyada lutf angaiz hai jabkay mukhtalif surveys sey yeh baat saamney ai hai kay agar aurat pehley orgasm hasil karley to yeh aurat kay liye ziyada pur lazzat hai. Doosri taraf mian bhi biwi kay pehley orgasm hasil karney sey pur sukoon hojata hai. Isskay sir sey biwi ko saatisfy karney ka booj utar jata hai aur woh mubaashirat (intercourse)  sey ziyada lutf andooz hota hai.

36

Libido - Sexual Desire
Jinsi khwahish (libido) kay lehaz sey bhi mian and biwi aik jaisey nahi hotey. Kisi mard mein jinsi khwahish kam hoti hai aur aurat mein ziyada aur kabhi iss ka ulat. Yani kabhi mian mein jinsi khwahish ziyada hoti hai aur kabhi biwi mein. Amooman mard ki jinsi khwahish aurat ki nisbat kuch ziyada aur shadeed hoti hai. Mukhtalif  researches sey yeh bhi pata chala hai kay mard ki jinsi khwahish aur dilchaspi 17 sey 19 saal ki umar mein uroj per hoti hai jabkay aurat ki jinsi urooj ki umar 35 sey 39 year hai. Mard aur aurat ki jinsi khwahish aur dilchaspi mein tabdeli aati rahti hai baaz waqt zehni  dabao (stress) aur ziyada masroofiyat ki wajah sey mard ki jinsi khwahish (libido) kam hojaati hai. Jab kay doosri taraf mian ghar sey bahir purkashish khawateen ko dekhta hai jis ki wajah sey usey ziyada jinsi stimulation ka saamna karnaa parta hai. Iss surat mein iss kay jinsi jazbaat foran bharak uthtai hain phir woh jinsi sukoon chahta hai. Issi liye Allah Ta'ala kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya hai " Tum mein sey kisi ko jab (koi doosri) aurat bhali mehsoos ho aur dil per chot parey to chahiyie kay apni biwi kay saath hum bister ho. Iss tadbeer sey ajnabi aurat ka asar dil sey jata rahey ga". (Muslim) Iss liye zaroori hai kay biwi aisi surat-e-haal mein mian kay saath ta'awwun karey warna gunah gar hogi.
Aik survey sey ma'aloom hua hai kay 2/3 khawateen mardon ki nisbat mubashrat ki kam khwahish rakhti hain. Kinsey kay survey kay mutabiq shadi kay shuru mein mian biwi sey ziyada mubashrat ki khwahish rakhta hai. lekin darmiyani umar (35-40 year) mein ulat yani iss umar mein aurat ziyada jinsi khwahish rakhti hai.

37

Sexual Differences - Men Women - Mard Aurat - Jinsi Ikhtilaaf


 Hunt kay survey sey maloom hua kay 5% aurton mein shadi kay baad mu'nhbashirat ki khwahish nisbaatan kam the magar Redook kay survey mein 33% biwiyon nay baataya kay en ki khwahish the kay woh mojoda hullat sey ziyada mu'nhbashirat kartin, yani en ki jinsi khwahish shadi kay shuru dino mein ziyada the.
Aksar mahireen ka khayal hai kay mard sex ko ziyada ahmiyat deyta hai jab kay aurat romance ko. Magar baaz doosrey mahireen ka khayal hai ka donon muhbashirat chahtey hain. Doosrey alfaz mein aurat bhi sex ko bohut pasand karti hai farq yeh hai kay aurat ko sex sey bhar poor lutf uthanay kay liye kam sey kam 20 sey 30 min Mohabbat kay khail (Foreplay) ki zororat hai jabkay mard ko amoman sirf 2, 3 min kay foreplay ki zaroorat hai aur baaz ko to koi zaroorat nahi hoti. Woh foran jinsi amal kay liye tayar hojaatey hain. Tahem aik baat per taqreeban sarai mahireen mu'nhtafiq hain kay mard buniyadi tor per mu'nhbashirat aur anzal chata hai. Woh mard jin ko bhar poor sex milta hai woh apni biwiyon ko bhar poor Mohabbat deytey hain. Kyun kay mard kay dil aur ruh ko kholnay kay liye isey bhar poor sex ki zaroorat hoti hai.
Mubaashirat kay waqt shadeed jinsi isshtiyal ki wajah sey mard kay jism mein kaee tabdiliyen roonuma hoti hain maslan nabz ki raftar tez hoti hai. Blood presssure aur saans ki raftaar double ho jati hai aur garmiyon mein mard ka jism paseeney sey sharaboor ho jata hai.

38

Physical Examination - Jismaani Muaina


Jismaani Muaina (Physical Examination)





    Chand din pehley aik dulhan ney bey panaah khushi kay saath mujhey phone kara kay hamari help sey woh mubashrat (intercourse)  karney mein kamyab hogaey hain. Yeh inki pehli mubashrat (intercourse)  thi jo kay shadi kay 1.5 saal kay baad hui. Mian biwi donon naujawan aur parhey likhey they. Shuru mein kaee maah tak unko pata hi naa tha kay mubashrat (intercourse)  karnaa kahan hai. Karachi kay famous doctor Syed Mobeen Akhter ney apney aik dilchasp case ka zikar kara. Shadi kay taqreeban 1 saal baad mian biwi doctor sahib kay paas aaey, pareshan thay kay biwi abhi tak pregnant nahi hui. Jab tafseeli interview kara gaya to ajeeb baat saamney aaee kay inn donon ko pata hi nahi tha kay mubashrat (intercourse)  kahan karna hai aur woh pichley 1 saal sey naaf (umbilicus) mein mubashrat (intercourse)  kar rahey thay. Kuch din pehley mein ney bohut sey shadi shuda or aisey  ghaer shadi shuda naujawaan jinki jald shadi honay wali thi, sey pucha kay kiya unko mubashrat (intercourse)  ki exact jagah ka pata hai yaqeen kareyn kay kisi aik ko bhi pata naa tha.





    Humarey yahan mardon ki bohut bari ta'adaad taqreeban 90% ko mubashrat (intercourse)  kay asal maqaam ka pata nahi hai. Woh nahi jantey kay mubashrat (intercourse)  kahan kii jati hai. Woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse)  kartey hain jiski wajah sey aksar mardon ko dakhool mein problem hoti hai aur ba'az mard dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain jis sey inhein sharmindigi aur biwi ko frustration hoti hai aur ba'az afraad ka tanau (erection) dakhool ki koshish mein hi khatam ho jatq hai. Jo mian biwi donon kay liye mayusi ka ba'iss hota hai.

39

Female Genitalia - Aurat KayAaza e Makhsoosa




 Mard to mard bohut si larkiyan bhi apney female genitalia (aaza e makhsoosa) kay mukhtalif hisson sey puri tarhan waqif nahi.  Isski wajah bohut simple hai. Aurat kay aaza-e-makhsoosa hidden hotey hain. Khushgawar azdawaji zindagi kay zaroori hai kay biwi ko apney aaza-e-makhsoosa ka pata ho kay kon si cheez kaha hai. Isskay liye woh apney aaza-e-makhsoosa ka achi tarhan Muaina karey. (Muaina kay liye khususi mashq hamari doosri book "Azdawaji khushiyan khawateen kay liye" mein mojood hai). Jab biwi apney aaza-e-makhsoosa sey puri tarhan waqif hogi to shadi kay shuru mein hi mian ko apney aaza-e-makhsoosa kay har hissey ki wazahat karey bul kay roshni mein mian ko isska muaina bhi karey, ta'kay mian ko mubashrat (intercourse)  kay asal maqam sey puri agahi hasil hojaey, isi tarhan mubashrat (intercourse)  mein naa sirf issey dakhool mein mushkil paish nahi aigi bul kay kisi ghullti ka emkan bhi naa hoga. La elmi ki wajah sey baaz auqat mian faraj kay bajaey maq'ad (anus) mein mubashrat (intercourse)  kar leytey hain jo kay haram honay kay elawa bohut takleef deh aur sehat kay liye nuqsan deh bhi hai.





    Mard kay liye aurat kay female gentalia (aaza e makhsoosa) ko jannay ka aik zariya yeh hai kay woh pehley aurat kay aaza e makhsoosa ka khaka aur picture dekh ley. Iss tarhan ki pictures medicals ki book mein aasani sey dekhi ja sakti hain.  Aap humein letter likh kar bhi yeh khakay aur pictures hasil kar saktey hain. Khakay aur pictures ki madad sey aurat kay aaza-e-makhsoosa kay har hissey ko achi tarhan dekh aur samajh liye jaey aur phir iss ilm ki roshni mein biwi ki madad sey female genitalia (aaza e makhsoosa) ka muaina kiya jaey.

40

Physical Examination - Jismaani Muaina


    Muaina kay liye biwi roshini mein sareen kay bul farash per beth jaey. Bister per naa bethey woh naram hota hai jiski wajah sey faraj neechey ko dhuns jati hai. Iss tarhan sey sahi muaina naa ho sakay ga. Farash per bethney ki surat mein biwi taangein aagey ko phailaey magar ghutney (knees) kharey aur taangein thori si khuli hun ya phir woh bister ya farash per leyt jaey ghutney (knees) kharey aur taangein khuli hun. Mian torch ki madad sey aaza-e-makhsoosa ka muaina karey. Aaza-e-makhsoosa ko vulva kaha jata hai. Isey urdu mein andam-e-nehani kehtey hain. Yeh aurat ki naaf sey neechey donon taangon kay darmiyan hoti hai. Iss kay 2 lub hotey hain jiskay ooper baal hotey hain. Inhein baerooni lub kaha jata hai ab biwi apney donon hath sey apney baerooni lub ko kholey neechey gulabi rung kay androoni lub nazar aaengey.

41

Female Genitalia - Aurat Kay Aaza e Makhsoosa


Ooper ki taraf jahan androoni lub miltey hain wahan aapko aik danaa sa naazar aiga jo kay clitoris hai. Isskay upper hood si hoti hai. Clitoris ka kuch hissa jism kay ander aur kuch bahir hota hai. Isssey taqreeban 1 inch neechey pisshab ki naali ka hole hota hai. Isssey kuch neechey faraj hoti hai. Bilkul neechey magar baerooni lips kay bahir anus, biwi ki madadsey ensab organs ka etminaan sey Muaina karey kay konsi cheez kaha hai, ta'kay mubaashirat (intercourse)  mein dakhool kay waqt ghullti naa ho. Kuch din pehley Europe sey aik naujawan elaj kay liye aya. Isssey aurat kay aaza-e-makhsoosa ka pata naa tha jis ki wajah sey first night mubaashirat (intercourse)  kay doran ghullti sey issnay anus mein dakhool kardi.





    Mian ka apni biwi kay jism ko dekhna gunah nahil. Hazrat Muhammad(P.B .U.H.) ka irshad hai: Apni sharam gah ko pardey mein rakh magar apni biwi sey naa chupa. (Abud Dawood, Ahmed, Tirmizi) Hazrat Abdullah Bin Umer ka kahnaa hai kay mubaashirat kay waqt apni biwi ki sharamgah ko dekhnaa aula aur afzal hai. Iss liye kay isski wajah sey isski lazat ko ziyada mu'nhkammal tor per aur bharpoor tareqai sey hasil kara ja sakta hai. (Hadaya) Doosri taraf Hazrat Ayissha Siddiqua sey aik riwayat hai : mein ney kabhi Allah kay rasool Hazrat Muhammad(P.B .U.H.) ki sharam gah nahi dekhi. Ahl-e-ilm kay mutabiq yeh riwayat baatil aur jhooti hai kyun kay isski sanad mein Barkata Bin Muhammad Hullbi kazab rawi hai.